wahan to rose sitara naya chamakta hai
yahan bas ek hi jugnu hai jo sisakta hai
use to waqt ne KHamoshiyan hi baKHshi hain
jo apni rah badalta hai aur bhaTakta hai
wo ek jhuT tha jo raushni mein aa pahuncha
ye ek sach hai andheron mein jo bhaTakta hai
tu kis KHayal mein kis soch mein hai fikr na kar
ki mera zaKHm tera zulm chhup to sakta hai
laga liye hain jo main ne bhi mausami chehre
tu mere ghar mein bhi suraj sa ek chamakta hai
'niyazi' aaj us aatish-badan ki yaad aai
ki jis ke nam se shoala sa ek lapakta hai

Ghazal
Wahan to rose sitara naya chamakta hai
Qasim Niyazi