wahan sahilon pe bashaaraton ka charagh bhi hai jala hua
yahan hath mere bandhe hue mera baadban chhida hua
gai saaton ki talash mein mera harf harf bikhar gaya
kahin tere nam ka sher bhi tha bayaz-e-jaan pe likha hua
meri por por pe titliyan kai rang chhoD ke ja chukin
tere zikr ka koi phul tha mare rat-jagon mein khila hua
use ret ret mein khojna use lahr lahr mein DhunDhna
koi shahd sa tera ahd tha inhi sahilon pe likha hua
nae mausamon ke KHiram bhi nae lams ras na aa sake
main ye e'tiraf kahan karun tera mo'tabar tha kaha hua
kisi mor-nach ka rang bhi teri aankh ko na lubha saka
koi zard zard sa KHwab tha teri putliyon mein khuda hua
kisi aur ufuq ki sadaon par wo udas gunj chali gai
meri jhil aankh na sochna kabhi aa saka hai gaya hua
kisi hijr-shaal ki dhajjiyan mujhe saunp kar wo kahan gaya
wo dhanak dhanak se kata hua wo kiran kiran se buna hua

Ghazal
Wahan sahilon pe bashaaraton ka charagh bhi hai jala hua
Qayyum Tahir