wahan main jaun magar kuchh mera bhala bhi to ho
wo phul bagh-e-badan mein khila hua bhi to ho
KHuda ko pujne lag jaun chhoD kar but ko
buton ke jaise badan wala wo KHuda bhi to ho
main masjidon ke kinare se lauT aata hun
kahin sawab ka dariya baha hua bhi to ho
bahut miThas bhi be-zaiqa si hone lagi
wo KHush-mizaj kisi baat par KHafa bhi to ho
use mujhe hi uTha kar gale lagana tha
ki us ke panw koi aur yun paDa bhi to ho
Ghazal
Wahan main jaun magar kuchh mera bhala bhi to ho
Farhat Ehsas