wahan khule bhi to kyunkar bisat-e-hikmat-o-fan
mile har ek jabin par jahan shikan hi shikan
hamari KHak kabhi raegan na jaegi
hamari KHak ko pahchanti hai KHak-e-watan
KHizan ki raat mein kumhla ke phul girte hain
to jag jati hai soi hui zamin-e-chaman
bahut hai raat andheri magar chale hi chalo
ki aap apne musafir ko DhunD legi kiran
khile hain phul magar dil kahan khile hain 'shamim'
abhi chaman se bahut dur hai bahaar-e-chaman

Ghazal
Wahan khule bhi to kyunkar bisat-e-hikmat-o-fan
Shamim Karhani