wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho
unhen haal-e-dil na sunaiye jinhen dard-e-dil ka pata na ho
hon ajab tarah ki shikayaten hon ajab tarah ki inayaten
tujhe mujh se shikwe hazar hon mujhe tujh se koi gila na ho
koi aisa sher bhi de KHuda jo teri ata ho teri ata
kabhi jaisa main ne kaha na ho kabhi jaisa main ne suna na ho
na diye ka hai na hawa ka hai yahan jo bhi kuchh hai KHuda ka hai
yahan aisa koi diya nahin jo jala ho aur wo bujha na ho
main mariz-e-ishq hun chaaragar tu hai dard-e-ishq se be-KHabar
ye taDap hi us ka ilaj hai ye taDap na ho to shifa na ho
Ghazal
Wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho
Nawaz Deobandi