wahan har ek isi nashsha-e-ana mein hai
ki KHak-e-rahguzar-e-yar bhi hawa mein hai
alif se nam tera tere nam se main alif
ilahi mera har ek dard is dua mein hai
wahi kasili si lazzat wahi siyah maza
jo sirf hosh mein tha harf-e-na-rawa mein hai
wo koi tha jo abhi uTh ke darmiyan se gaya
hisab kije to har ek apni ja mein hai
nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk nai rut ki ibtida mein hai
Ghazal
Wahan har ek isi nashsha-e-ana mein hai
Aslam Emadi