wahan ab ja ke dekhen hum se kya irshad karte hain
qaza kahti hai chaliye aap ko wo yaad karte hain
janab-e-waiz-o-pir-e-mughan kaamil to hain donon
wo kuchh irshad karte hain ye kuchh irshad karte hain
pae tazim-e-dard uThta hai ai nawak-fagan dil mein
qadam-ranja jo tere nawak-e-bedad karte hain
kabhi karte hain hum baada-parasti ja ke kabe mein
kabhi aa kar haram se mai-kade aabaad karte hain
na chhoDa sath mahshar tak hamara tu wo munis tha
gham-e-marhum tujh ko KHuld mein hum yaad karte hain
wo hans kar hum se kahte hain paDen is chah par patthar
jo hum un se bayan-e-saKHti-e-farhad karte hain
qafas se chhuT ke bhi hum qaid hain dam-e-mohabbat mein
'wasim' aazad kar ke bhi wo kab aazad karte hain

Ghazal
Wahan ab ja ke dekhen humse kya irshad karte hain
Waseem Khairabadi