اردو हिंदी
Wafadar ho ya jafa-kar tum ho | Shaahi Shayari
wafadar ho ya jafa-kar tum ho

Ghazal

Wafadar ho ya jafa-kar tum ho

Meer Hasan

;

wafadar ho ya jafa-kar tum ho
jo kuchh ho so ho par mere yar tum ho

ujaDo mere dil ko ya phir basao
meri jaan is ghar ke muKHtar tum ho

juda sab se ho aur sab se mile ho
gharaz kya kahun ek ayyar tum ho

KHuda jaaniye dil pe kya guzre aaKHir
ye ahl-e-wafa hai sitamgar tum ho

bane is tabiat se kyunkar kisi ki
zara ji mein munsif to dildar tum ho

KHafa hote hain hum to KHush hote ho tum
jo KHush hote hum hain to bezar tum ho

nahin be-sabab ye 'hasan' sard aahen
kahin in dinon mein giraftar tum ho