اردو हिंदी
Wafa ki rah mein aise kamal karti hun | Shaahi Shayari
wafa ki rah mein aise kamal karti hun

Ghazal

Wafa ki rah mein aise kamal karti hun

Jyoti Azad Khatri

;

wafa ki rah mein aise kamal karti hun
na koi shikwa na koi sawal karti hun

main roz taron se daman sajati hun apna
bahut saliqe se apna KHayal karti hun

ye kab talak yun hi nafrat ka khel kheloge
main leaderon se yahi ek sawal karti hun

ghamon ko apni main ghazlon mein Dhaalti hun bas
ye duniya wale kahe ki kamal karti hun

udasiyon se sada rakh ke fasle 'jyoti'
main aise zist hasin pur-jamal karti hun