wafa ki manzilon ko hum ne is tarah saja liya
qadam qadam pe ek charagh-e-arzu jala liya
rah-e-hayat mein hazar uljhanen rahin magar
tumhaara gham jahan mila use gale laga liya
hamare hausle hamari juraten to dekhiye
qaza ko apni zindagi ka pasban bana liya
hazar bar hum faraaz-e-dar se guzar gae
hazar bar hum ne un ka zarf aazma liya
KHirad to sath de saki na rah-e-ishq mein magar
junun hi ek tha ki jis ko ham-safar bana liya
phir aaj ahl-e-jaur ko shikast-e-fash ho gai
phir aaj ahl-e-dil ne parcham-e-'wafa' uTha liya

Ghazal
Wafa ki manzilon ko humne is tarah saja liya
Wafa Siddiqui