wafa ke dagh ko dil se miTa nahin sakta
ye wo charagh hai tufan bujha nahin sakta
mujhe kuchh aisi pilai hai chashm-e-saqi ne
surur jis ka kabhi dil se ja nahin sakta
kisi ki chin-e-jabin ko samajh dil-e-muztar
KHafa wo hain ki to ulfat chhupa nahin sakta
qafas qafas hai gulon se saja kare sayyaad
chaman ka lutf asiri mein aa nahin sakta
kabhi is ujDe chaman mein bahaar aaegi
ye 'qadri' ke guman mein bhi aa nahin sakta

Ghazal
Wafa ke dagh ko dil se miTa nahin sakta
Shaghil Qadri