اردو हिंदी
Wafa ke bab mein ilzam-e-ashiqi na liya | Shaahi Shayari
wafa ke bab mein ilzam-e-ashiqi na liya

Ghazal

Wafa ke bab mein ilzam-e-ashiqi na liya

Ahmad Faraz

;

wafa ke bab mein ilzam-e-ashiqi na liya
ki teri baat ki aur tera nam bhi na liya

KHusha wo log ki mahrum-e-iltifat rahe
tere karam ko ba-andaz-e-sadgi na liya

tumhaare baad kai hath dil ki samt baDhe
hazar shukr gareban ko hum ne si na liya

tamam masti o tishna-labi ke hangame
kisi ne sang uThaya kisi ne mina liya

'faraaz' zulm hai itni KHud-e'timadi bhi
ki raat bhi thi andheri charagh bhi na liya