wafa ka zikr hi kya hai jafa bhi ras aae
wo muskurae to jurm-e-KHata bhi ras aae
watan mein rahte hain hum ye sharaf hi kya kam hai
ye kya zarur ki aab-o-hawa bhi ras aae
hatheliyan hain teri lauh-e-nur ki manind
KHuda kare tujhe rang-e-hina bhi ras aae
dawa to KHair hazaron ko ras aaegi
maza to jine ka jab hai shifa bhi ras aae
to phir ye aadmi KHud ko KHuda samajhne lage
agar ye umr-e-gurezan zara bhi ras aae
ab is qadar bhi na kar justaju-e-ab-e-baqa
gul-e-hunar hai to baad-e-fana bhi ras aae
ye tera rang-e-suKHan tera bankpan ai 'shaz'
ki sher ras to aae ana bhi ras aae

Ghazal
Wafa ka zikr hi kya hai jafa bhi ras aae
Shaz Tamkanat