wafa ka tana-bana DhunDhta hai
na jaane kya diwana DhunDhta hai
hawas us ki falak se bhi hai unchi
wo taron ka KHazana DhunDhta hai
ghani chhanw pakaD leti hai panw
musafir dil Thikana DhunDhta hai
kisi ke samne wo sar jhuke kya
jo tera aastana DhunDhta hai
uDe panchhi KHala mein jitna uncha
zamin par aab-o-dana DhunDhta hai
KHirad se hogi dil ki pasbani
ki tir-e-dil nishana DhunDhta hai
wo de de kar mujhe zehni aziyyat
badan par taziyana DhunDhta hai
wo apni zat mein mudgham hai 'saifi'
use sara zamana DhunDhta hai
Ghazal
Wafa ka tana-bana DhunDhta hai
Muneer Saifi

