wafa ka meri kya sila dijiyega
gham-e-dil ki lazzat baDha dijiyega
mujhe dekh kar muskura dijiyega
yunhi meri hasti miTa dijiyega
sila dil lagane ka kya dijiyega
sitam dijiyega saza dijiyega
sukun ki talab mujh ko hargiz nahin hai
bas ek dard ka silsila dijiyega
KHushi banTne ke nahin aap qail
to gham hi mujhe kuchh siwa dijiyega
mujhe kya KHabar thi ki KHud lauh-e-dil par
mera nam likh kar miTa dijiyega
sukun qalb ko jis se mil jae 'taban'
ghazal koi aisi suna dijiyega
Ghazal
Wafa ka meri kya sila dijiyega
Anwar Taban