اردو हिंदी
Wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main | Shaahi Shayari
wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main

Ghazal

Wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main

Saail Dehlvi

;

wafa ka banda hun ulfat ka pasdar hun main
Harif-e-qamri-o-parwana-e-hazar hun main

juda juda nazar aati hai jalwa-e-tasir
qarar ho gaya musa ko be-qarar hun main

KHumar jis se na waqif ho wo surur hain aap
surur jis se na aagah ho wo KHumar hun main

sama gaya hai ye sauda ajib sar mein mere
karam ka ahl-e-sitam se ummid-war hun main

ewaz dawa ke dua de gaya tabib mujhe
kaha jo main ne gham-e-hijr se do-chaar hun main

shabab kar diya mera tabah ulfat ne
KHizan ke hath ki boi hui bahaar hun main

qarar-dad-e-gareban hui ye daman se
ki purze purze agar ho to tar tar hun main

mere mazar ko samjha na jae ek mazar
hazar hasrat-o-arman ka KHud mazar hun main

'zahir' o 'arshad' o 'ghaalib' ka hun jigar-gosha
janab-e-'dagh' ka tilmiz o yaadgar hun main

amir karte hain izzat meri hun wo 'sail'
gulon ke pahlu mein rahta hun aisa KHar hun main