wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin
wo mujh se ruThe to the lekin is qadar bhi nahin
baras rahi hai harim-e-hawas mein daulat-e-husn
gada-e-ishq ke kase mein ek nazar bhi nahin
na jaane kis liye ummid-war baiTha hun
ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin
nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab na ho
wo be-KHabar hi sahi itne be-KHabar bhi nahin
ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye aaKHir
sukun-e-qalb udhar bhi nahin idhar bhi nahin
Ghazal
Wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin
Faiz Ahmad Faiz