wafa anjam hoti ja rahi hai
mohabbat KHam hoti ja rahi hai
zara chehre se zulfon ko haTa lo
ye kaisi sham hoti ja rahi hai
qayamat hai mohabbat rafta-rafta
gham-e-ayyam hoti ja rahi hai
suna hai ab tere lutf-o-karam ki
hikayat aam hoti ja rahi hai
dikhane ko zara aankhen badal lo
wafa ilzam hoti ja rahi hai
mere jazb-e-wafa se KHamushi bhi
tera paigham hoti ja rahi hai
koi karwaT badal ai dard-e-hasti
tamanna dam hoti ja rahi hai
mohabbat 'saif' ek lutf-e-nihan thi
magar badnam hoti ja rahi hai
Ghazal
Wafa anjam hoti ja rahi hai
Saifuddin Saif