wabaal-e-jaan har ek baal hai myan
talluq dil ka kya janjal hai myan
talab mein kaun duniya ki ho pamal
ye baitulmal kuchh bhi mal hai myan
ye kala-e-jahan ka munh ho kala
agar samho to ji ka kal hai myan
suna hoga jo kuchh majnun ka ahwal
wahi apne bhi hasb-e-haal hai myan
taDap kar ru-ba-ru hum us ke mar gae
na puchho kya mera ahwal hai myan
qadam rakhte tumhaare dil taDap gae
ye koi chaal hai bhaunchaal hai myan
nahin jata Dafali-pan ka sauda
ajab sir par mere dhammal hai myan
khula kab maulwi se uqda-e-dil
bahut ye masala ashkal hai myan
agar hai qaul to masum ka hai
siwa is ke to qil-o-qal hai myan
'raza' kya mil gae us jang-ju se
tumhaara aaj chehra lal hai myan
Ghazal
Wabaal-e-jaan har ek baal hai myan
Raza Azimabadi

