wasta koi na rakh kar bhi sitam Dhate ho tum
dil taDap uThta hai ab kahe ko yaad aate ho tum
meri sab aazadiyan banda-nawazi par nisar
ai KHosha qaid-e-wafa zanjir pahnate ho tum
late ho kaif-e-tarb dete ho paigham-e-hayat
kya bataun sath kya le kar chale jate ho tum
is tarah chhupte ho jalwon ki farawani ke sath
main samajhta hun ki jaise samne aate ho tum
sun ke mera haal hain aankhen na malne ke wajuh
ye bhi ho sakta hai shayad ashk bhar late ho tum
bhej kar KHush-bu hawaon mein ba-andaz-e-payam
kya ye sach hai aaj yun meri taraf aate ho tum
dil-guzari bhi liye hai imtiyaz-e-husn-o-ishq
KHun ro deta hun main aur ashk pi jate ho tum
chand mein rangat tumhaari phul bhi tum se base
khinchti hain dil fazaen yaad aa jate ho tum
tum se hai aarasta jazbaat ka taza chaman
jaisi rut hoti hai waisa phul ban jate ho tum
zikr is ka hai 'raza' ne kin wafaen ya nahin
tum ne aaKHir kya kiya kahe ko sharmate ho tum
Ghazal
Wasta koi na rakh kar bhi sitam Dhate ho tum
Raza Lakhnavi