اردو हिंदी
Warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho | Shaahi Shayari
warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho

Ghazal

Warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho

Mirza Ghalib

;

warasta us se hain ki mohabbat hi kyun na ho
kije hamare sath adawat hi kyun na ho

chhoDa na mujh mein zoaf ne rang iKHtilat ka
hai dil pe bar naqsh-e-mohabbat hi kyun na ho

hai mujh ko tujh se tazkira-e-ghair ka gila
har-chand bar-sabil-e-shikayat hi kyun na ho

paida hui hai kahte hain har dard ki dawa
yun ho to chaara-e-gham-e-ulfat hi kyun na ho

Dala na be-kasi ne kisi se muamla
apne se khinchta hun KHajalat hi kyun na ho

hai aadmi bajae KHud ek mahshar-e-KHayal
hum anjuman samajhte hain KHalwat hi kyun na ho

hangama-e-zabuni-e-himmat hai infial
hasil na kije dahr se ibrat hi kyun na ho

warastagi bahana-e-begangi nahin
apne se kar na ghair se wahshat hi kyun na ho

miTta hai faut-e-fursat-e-hasti ka gham koi
umr-e-aziz sarf-e-ibaadat hi kyun na ho

us fitna-KHu ke dar se ab uThte nahin 'asad'
us mein hamare sar pe qayamat hi kyun na ho