war bharpur kiya us ne ana par meri
KHud bhi maghmum hua aah-o-buka par meri
waqt-e-aKHir bhi teri KHair KHuda se mangi
zindagi KHatm hui harf-e-dua par meri
sach bata ishq mujhe saKHt pareshan hun main
kyun KHafa hota nahin dost KHata par meri
reza reza hai meri jaan talab mein jis ki
us ko tashkik hai afsos-e-wafa par meri
us ke hathon ki nafasat pe giran thi mehndi
aa gai yaad use rasm-e-hina par meri
rang ghaalib na sahi ranj-e-mohabbat hi sahi
KHush nazar aate hain naqqad nawa par meri
us ka iKHlas musallam hai KHuda KHair kare
dost pahuncha nahin 'tanwir' sada par meri
Ghazal
War bharpur kiya usne ana par meri
Mohammad Tanviruzzaman