waqif the kahan hum dil-e-na-chaar se pahle
kam-baKHt mohabbat ke is aazar se pahle
nazren to uThate zara diwar se pahle
ek aan to mil baiThte takrar se pahle
diwana koi laenge mujh jaisa kahan se
socha nahin ye aap ne inkar se pahle
pa-basta jigar-e-soKHta dil-gir zaban band
sau zulm sahe dida-e-KHun-bar se pahle
ye koi naya tarz-e-taghaful to nahin hai
aisi to na thi dosti aaghyar se pahle
aasuda-e-gham-ha-e-KHizan ho gae aaKHir
phulon ne kahan puchha hamein KHar se pahle
dil-sozi o aashufta-sari tohmat o dushnam
kya kya nahin dekha rasan-o-dar se pahle
'sarwar' ne sunai hi nahin ahl-e-KHirad ko
apni ye ghazal jurat-e-izhaar se pahle
Ghazal
Waqif the kahan hum dil-e-na-chaar se pahle
Sarwar Alam Raz