waqif KHud apni chashm-e-gurezan se kaun hai
manus ab mere dil-e-viran se kaun hai
kis ko KHabar hai kis ghaDi aankhen chhalak paDen
ab aashna tahayya-e-tufan se kaun hai
dekhen jise KHalal hai usi ke dimagh mein
sarshaar ab tasawwur-e-jaanan se kaun hai
wo zulm shahr mein hai ki andher hai koi
wabasta rasm-e-jashn-e-charaghan se kaun hai
dekho jise wahi hai giraftar-e-arzu
ab dur is nawah mein zindan se kaun hai
maqtal mein jis ko apne lahu se jalaya tha
pur-nur us ek sham-e-farozan se kaun hai
chehron ki zardiyon se 'zafar' ho muwazana
nazdik rang-e-dasht-o-bayaban se kaun hai

Ghazal
Waqif KHud apni chashm-e-gurezan se kaun hai
Sabir Zafar