waqif hain KHu-e-yar se dekhe chalan tamam
yak aan ghamza-zan kabhi shamshir-zan tamam
kis soz-e-andarun ne tujh ko kiya figar
kis shaKHs waste hai dila ye suKHan tamam
gul-rang-o-lala-fam-o-shafaq-tab-o-KHusha-izar
yak mah-e-nau se mand hue sim-tan tamam
so nama-bar ko kahe thamaen payam hum
mastur hai nigah mein apna suKHan tamam
rakkha hai saint saint tera dard dosta
garche naqab lagaya kiye rahzan tamam
bas ai jamal-e-yar tera iltifat tha
jon wa hua nigah pe bagh-e-adan tamam
hae wo pal na rok sake ashk-e-lala-gun
ahwal-e-shauq jaan gai anjuman tamam
Ghazal
Waqif hain KHu-e-yar se dekhe chalan tamam
seemab zafar