waqia koi to ho jata sambhalne ke liye
rasta mujh ko bhi milta koi chalne ke liye
kyun na saughat samajh kar main use karta qubul
bhejte zahr wo mujh ko jo nigalne ke liye
itni sardi hai ki main banhon ki hararat mangun
rut ye mauzun hai kahan ghar se nikalne ke liye
chahiye koi use naz uThane wala
dil to tayyar hai har waqt machalne ke liye
ab to 'faruq' isi haal mein KHush rahte hain
waqt hai pas kahan apne badalne ke liye
Ghazal
Waqia koi to ho jata sambhalne ke liye
Zubair Farooq