waqai koi agar maujud hai
phir to ye dukh umr-bhar maujud hai
bich ka rasta nahin baqi koi
ya KHuda hai ya bashar maujud hai
us ko pane ki tawaqqo hai bahut
jab talak ye chashm-e-tar maujud hai
us ke milne hi se pahle jaane kyun
us ko kho dene ka Dar maujud hai
koi manzil kaise tanha sar karen
ham-safar mein ham-safar maujud hai
aadat-e-KHana-KHarabi hai 'jamal'
warna achchha-KHasa ghar maujud hai
Ghazal
Waqai koi agar maujud hai
Jamal Ehsani