wan zerki pasand na idrak chahiye
ijz-o-niyaz-e-dida-e-namnak chahiye
aaina ban ki shahid-o-mashhud ek hai
us ru-e-pak ko nazar-e-pak chahiye
sair-o-suluk-e-jaan nahin be-jazba-e-nihan
is rah mein ye tausan-e-chaalak chahiye
guzre ummid-o-bim se ye hausla kise
rind-e-KHarab-o-arif-e-bebak chahiye
har chashma aaina hai ruKH-e-aftab ka
han sath-e-ab be-KHas-o-KHashak chahiye
nash-o-numa-e-sabza-o-gul mein nahin darang
abr-e-karam ko tishnagi-e-KHak chahiye
islah-e-haal-e-ashiq-e-dil-KHasta hai zarur
mashuq jaur-pesha-o-saffak chahiye
jo ain-e-na-e-nosh ho us baada-nosh ko
jam-o-subu na KHum-kada-o-tak chahiye
sayyaad ke asar pe rawan ho to said hai
wo said hi nahin jise fitrak chahiye
Ghazal
Wan zerki pasand na idrak chahiye
Ismail Merathi