wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla 
yan sharm se araq mein Dub aaftab nikla 
aaya jo waqiye mein darpesh aalam-e-marg 
ye jagna hamara dekha to KHwab nikla 
dekha jo os paDte gulshan mein hum to aaKHir 
gul ka wo ru-e-KHandan chashm-e-pur-ab nikla 
parde hi mein chala ja KHurshid to hai behtar 
ek hashr hai jo ghar se wo be-hijab nikla 
kuchh der hi lagi na dil ko to tir lagte 
us said-e-na-tawan ka kya ji shitab nikla 
har harf-e-gham ne mere majlis ke tain rulaya 
goya ghubar dil ka paDhta kitab nikla 
ru-e-araq-fishan ko bas ponchh garm mat ho 
us gul mein kya rahega jis ka gulab nikla 
mutlaq na e'tina ki ahwal par hamare 
name ka name hi mein sab pech-o-tab nikla 
shan-e-taghaful apne nau-KHat ki kya likhen hum 
qasid mua tab us ke munh se jawab nikla 
kis ki nigah ki gardish thi 'mir' ru-ba-masjid 
mehrab mein se zahid mast-o-KHarab nikla
        Ghazal
Wan wo to ghar se apne pi kar sharab nikla
Mir Taqi Mir

