wan to milne ka irada hi nahin
yan wo KHwahish hai ki hota hi nahin
yun satane ke to laeq the na hum
aap ne kuchh hamein samjha hi nahin
jis se taskin ho meri ai qasid
aisi to baat tu kahta hi nahin
aur bhi aisi to baaten hain bahut
gila-e-ranjish-e-beja hi nahin
le gain nichi nigahen dil ko
aankh uTha kar abhi dekha hi nahin
rashk-e-dushman se nasihat hui aap
dil wahan jaane ko hota hi nahin
aur jo zulm ho manzur mujhe
ghair se rabt gawara hi nahin
yan to ye muntazir-e-wada hum
aur wan yaad wo wada hi nahin
rabt-e-dushman se hai inkar abas
hamein is baat ka shikwa hi nahin
hum KHuda se bhi nahin mangte kuchh
yan koi apni tamanna hi nahin
na sahi koi burai na sahi
tum se milna mujhe achchha hi nahin
us ki har baat ko sach samjhe 'nizam'
us sa ayyar to paida hi nahin

Ghazal
Wan to milne ka irada hi nahin
Nizam Rampuri