wan tabiat dam-e-taqrir bigaD jati hai
baat ki baat mein tauqir bigaD jati hai
chaunk paDta hun KHushi se jo wo aa jate hain
KHwab mein KHwab ki tabir bigaD jati hai
kuchh wo paDhne mein ulajhte hain mera nama-e-shauq
kuchh ibarat dam-e-tahrir bigaD jati hai
chaara-gar kya meri wahshat se junun bhi hai ba-tang
roz mujh se meri zanjir bigaD jati hai
dagh-e-ulfat wo buri shai hai ki kahne se 'zahir'
mahr-o-mahtab ki tanwir bigaD jati hai
Ghazal
Wan tabiat dam-e-taqrir bigaD jati hai
Zaheer Dehlvi