اردو हिंदी
Wan rasai nahin to phir kya hai | Shaahi Shayari
wan rasai nahin to phir kya hai

Ghazal

Wan rasai nahin to phir kya hai

Bahadur Shah Zafar

;

wan rasai nahin to phir kya hai
ye judai nahin to phir kya hai

ho mulaqat to safai se
aur safai nahin to phir kya hai

dilruba ko hai dilrubai shart
dilrubai nahin to phir kya hai

gila hota hai aashnai mein
aashnai nahin to phir kya hai

allah allah re un buton ka ghurur
ye KHudai nahin to phir kya hai

maut aai to Tal nahin sakti
aur aai nahin to phir kya hai

magas-e-qab aghniya hona hai
be-hayai nahin to phir kya hai

bosa-e-lab dil-e-shikasta ko
momyai nahin to phir kya hai

nahin rone mein gar 'zafar' tasir
jag-hansai nahin to phir kya hai