wan hai ye bad-gumani jawe hijab kyunkar
do din ke waste ho koi KHarab kyunkar
qasid jawab-e-KHat hum likh den shitab kyunkar
wan to jawab manga likhiye jawab kyunkar
KHwab-o-KHayal suna yan ho gaya hai jis bin
hairan hun main ki us ko aawe hai KHwab kyunkar
us sabza-rang ki hai garmi-e-husn goya
chamke hai mahr dekho zer-e-sahab kyunkar
kahti hain chitwanen yun ban-Than ke jab wo nikle
ab dekhne ki dekhen lawega tab kyunkar
wo wasl mein bhi hans hans puchhe hai lo batao
kal roengi tumhaari chashm-e-pur-ab kyunkar
dil jis se lag gaya hai wo chhup raha hai hum se
dauDe phiren na har su pur-iztirab kyunkar
allah-re bhulapa munh dho ke KHud wo bole
sungho to ho gaya ye pani gulab kyunkar
chaalakiyon ko sun kar us ghairat-e-pari ki
gar ruk ke kahiye us ki hum laen tab kyunkar
to yun lage jatane miyan tum to ho diwane
rahne de hum ko nichla ahd-e-shabab kyunkar
awwal bhi KHak hi the aaKHir bhi KHak honge
har dam kahen na 'jurat' ya bu-turab kyunkar
Ghazal
Wan hai ye bad-gumani jawe hijab kyunkar
Jurat Qalandar Bakhsh