اردو हिंदी
Wajibi baat kahin zara kahiye | Shaahi Shayari
wajibi baat kahin zara kahiye

Ghazal

Wajibi baat kahin zara kahiye

nayan sukh

;

wajibi baat kahin zara kahiye
bari lagti hai sab ko kya kahiye

mujh ko ek ye baDi si hairat hai
bure ko kis tarah bhala kahiye

neki ka phal badi laga hone
is zamane ka kya gila kahiye

charKH-e-zalim ne sab ko Dala pis
is ko tahqiq aasiya kahiye

aur hi ahwal dekhta hun main
kis ke aage ye majra kahiye

ja-ba-ja chhuTen jhuT ke shishe
ye bhi yaron ka ishqala kahiye

ammi kahte hain hum to hain fazil
bewaqufon ka dar khula kahiye

apni karte hain aap hi tarif
un ke tain ko to chutiya kahiye

be-shuuri pe bas-ki hain nazan
kyun na ab un ko na saza kahiye

shaiKH-ji ne kiya hai aaj KHizab
is ko buDhe ka chochala kahiye

logon ke phoDta phire shishe
mohtasib ko to masKHara kahiye

poch padar hua bake hai suKHan
naseh ko KHwah-maKHwah saDa kahiye

apna sar phoDta hai aap raqib
shauq se is ko mud-jhaDa kahiye

mare KHandon ke mard-e-adam ko
koi puchhe nahin hai kya kahiye

DaDhi mila ki go ki hai KHu-gir
par mahadew ki jaTa kahiye

jin ki hurmat pe kuchh nahin hai nigah
in ko pa-posh ka tala kahiye

chhupte phirte hain waqt-e-jang-o-jadal
buzdila un ko barmala kahiye

KHud-pasandi mein gharq hai aalam
'nayan' ko kis ko ab bura kahiye