waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab
pani ke badle pite hain ai be-KHabar sharab
aamad mein us ki mast hue kuchh KHabar nahin
saqi hai kaun jam kahan aur kidhar sharab
us qulzum-e-gunah mein Duba hua hun main
jis mein hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab
masti mein un ko lag gai lau aur ghair ki
deni shab-e-visal na thi is qadar sharab
iqrar-e-wasl aur wo mast-e-ghurur-e-naz
aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab
'salik' mile jo bazm mein us ki to lutf hai
warna piya hi karte hain hum apne ghar sharab
Ghazal
Waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab
Qurban Ali Salik Beg