waiz ki zid se rindon ne rasm-e-jadid ki
yani mah-e-siyam ki pahli ko id ki
marne ke baad bhi ye tamanna thi did ki
aankhen huin na band tumhaare shahid ki
phir jins-e-dil na apni kisi ne KHarid ki
sach hai ki qadr kuchh nahin mal-e-mazid ki
ye waqt-e-chashm-e-poshi-e-ahl-e-wafa nahin
jaan aankhon mein hai yar tere mahw-e-did ki
missi dahan-e-tang ki dekhi to shak hua
angushtari hai koi nagin-e-hadid ki
wo shoKH jang-ju jo hamare gale mila
matam muKHalifon ne muhibbon ne id ki
aalam hai chashm-e-shauq ka har ek zarre mein
barbaad KHak hai ye kisi mahw-e-did ki
kya be-nuqat sunai hain us tifl-e-shauq ne
qasid ne nama de ke talab jab rasid ki
kyun wo sawal-e-wasl ka dete nahin jawab
hajat hai un ke qufl-e-dahan ko kalid ki
ghusse se aag ho ke hue tar pasine mein
itr-e-bahaar husn ki apne kashid ki
kis rose main ne mushaf-e-ruKHsar mas kiya
jhuTi na qasmen khao kalam-e-majid ki
dekhe na pir-zal jahan ko uTha ke aankh
mardon mein aabru nahin kuchh zan-murid ki
be-shubah ai 'qalaq' sag-e-duniya hai wo bashar
jis ne ba-dil itaat-e-nafs-e-palid ki
Ghazal
Waiz ki zid se rindon ne rasm-e-jadid ki
Arshad Ali Khan Qalaq