waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain
ye rind-e-bala-nosh aise hain sunte hain aur pi jate hain
hum aap se jo kuchh kahte hain wo bilkul jhuT ghalat ek dam
aur aap jo kuchh farmate hain be-shubah baja farmate hain
diwana samajh kar chheD ke wo sunte hain hamari baaton ko
hum matlab ki kah jate hain wo soch ke kuchh rah jate hain
majbur-e-mohabbat ki haalat begana-e-ulfat kya jaane
hum ghairon ke tane sunte hain aur sun kar chup rah jate hain
gardan hai jhuki nazren nichi aur lab pe hai un ke tabassum bhi
hai qabil-e-did wo shoKHi bhi jis waqt ki wo sharmate hain
behosh paDe hain ishq mein aur sar hai kisi ke zanu par
tadbiren lakh kare koi ab hosh mein hum kab aate hain
kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai KHub kiya
kam-baKHt isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain
Ghazal
Waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain
Anjum Manpuri