اردو हिंदी
Waiz-e-tund-KHu ko de baada-o-jam saqiya | Shaahi Shayari
waiz-e-tund-KHu ko de baada-o-jam saqiya

Ghazal

Waiz-e-tund-KHu ko de baada-o-jam saqiya

Nasir Basheer

;

waiz-e-tund-KHu ko de baada-o-jam saqiya
taki wo hosh mein kare tujh se kalam saqiya

sare KHatib shahar ke tere KHilaf ho gae
tera nasib ho gai shohrat-e-am saqiya

hum ko bhi kuchh pata chale bazm mein kaun kaun hai
aaj ata-e-jam ho nam-ba-nam saqiya

tu ne kaha to ro diye tu ne kaha to hans diye
shahar ke sare baada-kash tere ghulam saqiya

dasht tujhe dikhaenge KHak teri uDaenge
ahl-e-junun ne likh liya tera bhi nam saqiya

hum ne suna hai tera bhi chaaragaron mein nam hai
tujh se paDega ek din hum ko bhi kaam saqiya

daftar-e-kotwal mein likkha hua hai aaj-kal
tera bhi nam saqiya mera bhi nam saqiya