اردو हिंदी
Waiz buton ke aage na furqan nikaliye | Shaahi Shayari
waiz buton ke aage na furqan nikaliye

Ghazal

Waiz buton ke aage na furqan nikaliye

Mazaq Badayuni

;

waiz buton ke aage na furqan nikaliye
surat se un ki mani-e-quran nikaliye

hai dil mein muddaa ki ewaz jaan nikaliye
ji khoiye pa ji ka na arman nikaliye

is dil mein aise tir hain kitne hi be-nishan
aap-apna dekh-bhaal ke paikan nikaliye

hai ji mein rakhiye aah ke shoala pe laKHt-e-dil
pariyon ke sar pe taKHt-e-sulaiman nikaliye

zaKHm aur aae lek meri jaan KHalish na jae
dil chiriye jigar se na paikan nikaliye

dikhlaiye na kawish-e-paikan ka intizar
nashtar se jald dida-e-hairan nikaliye

rahiye 'mazaq' hashr ke maidan mein surKH-ru
mazmun-e-ru-e-shah-e-shahidan nikaliye