waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye
kaj-bahsi-e-majaz-o-haqiqat na kijiye
uThiye na aap bazm se ghusse mein is qadar
jata hun main huzur qayamat na kijiye
yaad aa hi jata hai kabhi naseh ka qaul bhi
sab kijiye jahan mein mohabbat na kijiye
bedad aur us pe ye takid al-hazar
aa jae dam labon pe shikayat na kijiye
zindon mein ab shumar nahin hazrat-e-'aziz'
kahte the aap se ki mohabbat na kijiye
Ghazal
Waiz butan-e-dair se nafrat na kijiye
Aziz Lakhnavi