wah ye lutf-e-soz-e-ulfat kis ki badaulat dil ki badaulat
dozaKH bhi hai mujh ko jannat kis ki badaulat dil ki badaulat
dil mein hai daghon ki kasrat kis ki badaulat dil ki badaulat
aisi daulat itni daulat kis ki badaulat dil ki badaulat
sab se ulfat sab ki hasrat kis ki badaulat dil ki badaulat
Dawan-Dol hai meri niyyat kis ki badaulat dil ki badaulat
pesh-e-nazar rahte hain baham phirte hain aaankhon mein har dam
husn-e-kasrat nur-e-wahdat kis ki badaulat dil ki badaulat
un ko bhi hai mera sauda aur mujhe bhi sauda un ka
ek hui donon ki surat kis ki badaulat dil ki badaulat
dekh liya karta hun aksar ye bhi aalam wo bhi manzar
sham-e-furqat subh-e-qayamat kis ki badaulat dil ki badaulat
karta hun main apna matam aati hai ulfat mein paiham
kis par aafat mujh par aafat kis ki badaulat dil ki badaulat
main jo na bazm-e-naz mein jata kyun ghamza mujh ko taDpata
hanste bolte aa gai shamat kis ki badaulat dil ki badaulat
ahl-e-wafa ne mujh ko jaana ahl-e-jafa ne bhi pahchana
ye hai izzat ye hai shohrat kis ki badaulat dil ki badaulat
kya ho qasd nikal jaane ka ghar pa kar ab shad hai kya kya
arman arman hasrat hasrat kis ki badaulat dil ki badaulat
aksar miTna aksar ubharna aksar jina aksar marna
rahti hai ye meri surat kis ki badaulat dil ki badaulat
uThte baiThte rona dhona ashkon se duniya ko Dubona
'nuh' ye hai tufan ki shiddat kis ki badaulat dil ki badaulat
Ghazal
Wah ye lutf-e-soz-e-ulfat kis ki badaulat dil ki badaulat
Nooh Narvi

