wah kya husn kaisa joban hai
kaisi abru hain kaisi chitwan hai
jis ko dekho wo nur ka buqa
ye paristan hai ki london hai
abas un ko masih kahte hain
mar rakhne ka un mein lachchhan hai
husn dikhla raha hai jalwa-e-haq
ru-e-taban se saf raushan hai
rasm ulTi hai KHub-ruyon mein
dost jis ke bano wo dushman hai
haal ushshaq ko batate hain
aur abhi KHair se laDakpan hai
Ghazal
Wah kya husn kaisa joban hai
Mardan Ali Khan Rana