اردو हिंदी
Wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae | Shaahi Shayari
wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae

Ghazal

Wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

wah kya hum ko banaya aur bana kar rah gae
wasl ka muzhda sunaya aur suna kar rah gae

le gaya shauq us ke dar tak phir kami himmat ne ki
halqa-e-dar ko hilaya aur hila kar rah gae

main ne jo apne dil-e-gum-gashta ki puchhi KHabar
sar hilaya muskurae muskura kar rah gae

ghairat-e-dushman ki KHatir meri ghairat lai rang
mujh ko mahfil mein bulaya aur bula kar rah gae

kaam rone se bhi 'saqi' apna kuchh nikla nahin
likkha qismat ka miTaya aur miTa kar rah gae