اردو हिंदी
Wah kya daur hai kya log hain kya hota hai | Shaahi Shayari
wah kya daur hai kya log hain kya hota hai

Ghazal

Wah kya daur hai kya log hain kya hota hai

Jafar Abbas

;

wah kya daur hai kya log hain kya hota hai
ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai

kya bataen tumhein ab kya nahin hota hai yahan
bas ye jaano ki jo hota hai bura hota hai

de ke dukh auron ko wo kaun sa sukh paega
aisi baaton se bhala kis ka bhala hota hai

ab wo din dur nahin dekhna tum bhi yaro
amn ke nam pe kya fitna bapa hota hai

phir saf-ara huin faujen lab-e-dariya-e-furaat
hum ko malum hai is jang mein kya hota hai

aaj phir dil mein uTha hai wahi derina sawal
aise mazlumon ka kya koi KHuda hota hai

ek zara haal to dekho mera ai dost mere
tum hi socho koi aise mein KHafa hota hai

yun to har raat hi rahti hai ajab bechaini
aaj kuchh dard mere dil mein siwa hota hai