wah kya aalam ajab hai intizar-e-yar ka
nam hai didar-e-hasrat hasrat-e-didar ka
sair hai jannat ki sairon se tere aashiq ka dil
le ke jannat kya kare bhuka tere didar ka
zarra-e-dil mein utar aae hazaron aaftab
kya karishma hai KHyal-e-jalwa-gah-e-yar ka
baDh chala tha teri ghaflat se bhi bar-e-bekasi
maut ne puchha mizaj aa kar tere bimar ka
jaante hain ek jhalak mein jaan-o-dil miT jaenge
log munh takte hain tere talib-e-didar ka
dhyan mein us ke do-alam se khincha baiTha hun main
yani ek naqsha khincha hai jazb-e-husn-e-yar ka
jis ko kahte hain muqaddar aashiqan-e-bad-nasib
hai wo ek bigDa hua KHaka mizaj-e-yar ka
Ghazal
Wah kya aalam ajab hai intizar-e-yar ka
Raghib Badayuni