wadon hi pe har roz meri jaan na Talo
hai id ka din ab to gale hum ko laga lo
har waqt miyan KHub nahin galiyan deni
kya bakte ho tum yawa zaban apni sambhaalo
pahunche ko chhuDaoge baDe mard ho aise
tum pahle mere hath se daman to chhuDa lo
diwane ka hai tere ye aalam ki pari bhi
dekh us ko ye kahti hai koi us ko bula lo
is shoKH ki aankhon ke jo jata hun muqabil
kahti hain nigahen ki use mar hi Dalo
yun phirte ho maqtal pe shahidan-e-wafa ke
daman to zara hath mein tum apne uTha lo
jaan Dalta hai 'mushafi' qalib mein suKHan ke
mushkil hai ki tum us ki tarah sher to Dhaalo
go zamzama-e-delhi o ku lahja-e-purab
kyun us ki taraf hote ho nahaq ko razalo
Ghazal
Wadon hi pe har roz meri jaan na Talo
Mushafi Ghulam Hamdani