wade ka e'tibar to hai waqai mujhe
ye aur baat hai ki hansi aa gai mujhe
lai hai kis maqam pe waraftagi mujhe
mahsus ho rahi hai ab apni kami mujhe
samjhe hain wo junun to junun hi sahi mujhe
danista ab badalni paDi zindagi mujhe
jalwon ki raushni mein jo khoya tha pa gaya
tum se nazar mili to mohabbat mili mujhe
mahaul sazgar-e-mizaj-e-wafa na tha
duniya se bach ke un ki nazar dekhti mujhe
yun rabt-o-zabt-e-shauq baDhaya ba-tarz-e-nau
jaise ki pahle un se mohabbat na thi mujhe
'naKHshab' miTaya jis ne wafaon ki aaD mein
us bewafa se phir bhi mohabbat rahi mujhe
Ghazal
Wade ka etibar to hai waqai mujhe
Nakhshab Jaarchawi