wada tha kab ka bar-e-KHuda sochne to de
maqul koi uzr naya sochne to de
parchi wo jis pe likkha hua hai pata tera
rakh kar kahan main bhul gaya sochne to de
wo hijr bhi to gungi paheli se kam na tha
ab wasl aa paDa hai zara sochne to de
ai chaal-baz aise na itra ke muskura
chalne de chaal mujh ko zara sochne to de
hon iKHtiyar se bhi pare kuchh tasarrufat
andesha-e-hisab haTa sochne to de
jo ho gaya main us pe hun raazi KHuda qasam
ye kyun hua ye kaise hua sochne to de

Ghazal
Wada tha kab ka bar-e-KHuda sochne to de
Sabir