wada tha jis ka hashr mein wo baat bhi to ho
ye sun ke kis ada se kaha raat bhi to ho
hum len balaen zulf ki wo raat bhi to ho
aae maze ki rut kahin barsat bhi to ho
guzre yunhi to tauba ke din ab siwa piyun
saqi zara talafi-e-mafat bhi to ho
izhaar-e-arzu koi aisi KHata na thi
kyun tewriyan chaDhi hain koi baat bhi to ho
pa-posh un hasinon ki aati hai mere ghar
un ki nazar mein kuchh meri auqat bhi to ho
mina ki tarah ja ke abhi sar jhukaen hum
pir-e-mughan sa qibla-e-hajat bhi to ho
hum mai-kade ko chhoD ke kabe ke ho rahen
kabe mein is tarah ki mudaraat bhi to ho
baiat ko su-e-shaiKH baDhenge hazar hath
hazrat se kuchh zuhur-e-karamat bhi to ho
kahne ko uTh rahegi sitamgar se koi baat
mahshar ke rose mujh se mulaqat bhi to ho
bint-e-inab bichhaegi daman pa-e-namaz
zahid murid-e-pir-e-KHarabaat bhi to ho
tum ko 'riyaz' jaante hain KHub ye hasin
jitne ho nek utne hi bad-zat bhi to ho

Ghazal
Wada tha jis ka hashr mein wo baat bhi to ho
Riyaz Khairabadi