wada-o-qaul-o-qasam ne mujhe jine na diya
kya sitam hai ki karam ne mujhe jine na diya
dil to aamada-e-gham tha ba-in barbaadi-e-jaan
magar andaza-e-gham ne mujhe jine na diya
naz-bardar-e-sawal-e-dil-e-pur-KHun na mila
kasa-e-dida-e-nam ne mujhe jine na diya
tu jafa-pesha hai kis munh se kahun duniya se
apni chahat ke bharam ne mujhe jine na diya
ek nadida KHuda ne mere nale na sune
ek patthar ke sanam ne mujhe jine na diya
ek sae ka karam hai tapish-e-jaan pe hanuz
ek diwar ke KHam ne mujhe jine na diya
sher likhta hun ki taqdir-e-tamanna ai 'shaz'
hunar-e-lauh-o-qalam ne mujhe jine na diya

Ghazal
Wada-o-qaul-o-qasam ne mujhe jine na diya
Shaz Tamkanat